Bharat ne aaj 47 aur chinese apps ko ban kar diya, China par dusri digital strike

image from internet img credit: amarujala.com
59 apps par ban lagane ke baad Bharat ne China par ek aur digital strike kare hue 47 apps ko ban kar diya hai.jankari ke mutabik sabhi ban kiye hue aap pehle ban kiye gye 59 apps ke clone hai.Ban kiye gye apps ke name abhi samne nhi aaye hai.In apps ke ban ko lekar sarkar ki aur se koi Adhikarik bayan bhi nhi aaya hai.

Bharat ne china ko sabak sikhane ke liye 106 apps ko ban kar diya hai.Khabar mil rahi hai ki sarkar pure 250+ se jyada chinese apps ko ban karne ki list bna rahi hai.jin par aane vale time mein ban lagaya ja sakta hai.Is list mein pubg aur zilli jaise app samil hai.jin par aane vale samay mein ban lagaya ja sakta hai.sarkar in apps ki jaach kar yeh pta lagaegi ki kahi ye privacy polices ka ulanghan to nhi kar rahe .Iske alawa kayi chinese Internet companies par bhi ban lagaya ja sakta hai.

Pubg aur Ulike jaise apps ho sakte hai ban

Khabar ke anusaar Bharat sakar 275 apps ki list bna kar inki jach kar rahi hai . jisme pubg ,zilli,perfect corp,cina corp,Ulike, reso etc apps samil hai.aur inhe jald hi ban kar diya ja sakta hai.

Post a Comment

0 Comments