Bta de IGNOU ne Students ki awaj ko dba diya hai . Vo final year ke exams sept mein karvaega aur First and Second year ke students ke TEE (term end examination 2020) ko December mein karvaega .Agar esa hota hai to students ki 1 year lost ho jaegi .ya bole to 1 saal barbaad sirf IGNOU ki vajah se .
Ek student ne mail kar ke IGNOU se ye pucha ki Re-registration ki last date kab hai . mail 31 july ko ki gai thi aur IGNOU ki aur se 4 August ko reply aata hai ki 30 june last date hai aap form bhar lijiye.
ye screenshot hai aap bhi dekhiye .
Kisi sanjay name ke aadmi ka mail aya tha student ke pass jisse vo bahut paresaan tha aur ye post social media par viral ho gyi .IGNOU Students ke sath Khilwad kar raha hai . aur kisi Govt ki baat bhi nhi maan raha . Unhone ek Clarification jari karke bataya hai ki exam sept mein aur December mein honge par Ye nhi bta raha agar July ke exams December mein Honge to December ke exams kab liye jaenge aur esa hota hai to Students ke saath anyaay hoga.
jiska seedkha matlb hai Students ki 1 year waste.
Bharat ki sabhi Universities ne first year and second year ke students ko promote kar diya par ignou esa karne se mana kar raha hai.Kya sirf IGNOU ke exams karvane se Desh sudhar sakta hai ya IGNOU kisi aur soch mein hai ... Esa karna students ke rights aur life dono ke sath khilwad mana jaega.
twitter : #justice_for_ignou_students
0 Comments