India ki pehli Under Water Tunnel banne ja rahi hai - modi sarkar ne di manjoori



under water tunnel

China se tanav ke baad ab modi sarkar  bramputra river ke neeche se 14 km lambi tunnel banane ki tayaari kar rahi hai.Is tunnel ke jariye Arunanchal Pradesh ki connectivity desh ke anya hisso se behtar aur majboot ho sakegi.

all facilities in this tunnel 
Bramputra ke neeche NH-54 ko NH-37 se jodne bali is fourlane tunnel se Arunanchal Pradesh ki connectivity aur bhi majboot ho sakegi.

Government ne Is yojna ko di Theoritical Manjuri

Central ne jis yojna ko manjuri di hai.Mana ja raha hai ki tunnel ka nirman karya is saal ke december month mein suru ho jaega.Sutro ke anusar is khaas surang ko bramputra nadi ke neeche  gohpur se numaligadh tak banaya jaega.

Tunnel mein hongi kayi badi Facilities
Tunnel mein yatrio ke hava ke liye bentilation system,Roshni ke liye lights,fire fighter and drainage system bhi lagaya jaega.Halaki project ki lagat ko lekar koi bhi janakari nhi di gyi hai.

Post a Comment

0 Comments