College students ko bina Exam diye pass kiya jaega?

UGC task force ne final year ke exam ke samay sabdhaniyo par decision liya: Education Minister

Education Minister Ramesh Pokhriyal 'Nishank'  ne webinar kiya jisme over 45000 se jayda higher education institutes se interact kiya pure Bharat mein.

HRD minster ne kaha final year ke exam jarrur honge
New Delhi:Education Minister Ramesh Pokhriyal 'Nishank'  ne seminar kiya or pure desh mein 45,000 se jyada higher Education institutes se meeting ki. HRD Minister ne twitter pe video post ki or kaha ki webinar National Assessment and Accreditation Council (NAAC) ke dwara organize kiya gaya jaha minister ne corona virus mein ho rahi pareshanio pe charcha ki.

webinar ke samay HRD minister COVID-19 ki mahamari ke challenges ko awasar mein badlane pe baat karte dikhe.

webinar 28 may ko 3 baje start hua tha or NAAC aur Education minister ke official twitter account se sulabh hua.

Unke video message mein unhone lockdown ke time pe online education dene ke tarike ki higher education institutes ki tarif ki.

Mr. Nishank ne higher education institutes ke teachers aur staff members se unke sath webinar mein sughav sajha karne ko kaha.

Iske pehle, minister ne parents, students, teachers ke liye 3 alag alg webinar kiye the. sabhi webinar school education , enterance exam aadi pe aadharit the.

Is webinar mein bataya ki jin states or cities mein corona ki mahamari jayda h unme First year ke students ko assignment ke behalf pe promote kar diya jaega aur second year students ko 50% internal and 50% pichle semester ke exam ko dekh ke pass kiya jaega lekin fina year ke students ko exam dene hi honge unhe koi pass ya promote nhi kiya ja sakta.

for more knoweledge : HRD minister webinar

Post a Comment

0 Comments