College,School ab sab khulenge! Lockdown 5.0 mein mile order.

College,School,metro, railway....janiye kab kya khulega, 8 june se containment Zone mein teen phase mein jaari hogi jatividhiya.

sarkar ne containment zone mein Lockdown ko 3o june tak badhane ki ghosna ki hai aur containment zone ke bahar niyambadh tareeke se jatividhiya suru ki jaegi. Aaiye dekhte hai phase1 , phase2, phase3 main kin kin cheezo mein chhoot milegi.

PHASE 1 :

8 june se sabhi dharmik sthal khul jaenge.Hotel, restro ,or dusre sabhi hospitality services bhi suru ho jaege.Shopping malls bhi khul jaenge.Inke liye health ministry ki taraf se SOP jaari ki jaegi.

PHASE 2 :
Schools, Colleges, Educational, Coaching, Training etc ko kholne ka fesla july 2020 mein kiya jaega.Iske liye sabhi State Govt, Union Territories, parents and all stackholders ke sath vichar bimars kiya jaega.

PHASE 3 :

Intenational Flights, MetroRails, Cinema halls, Gym,pools parks etc...in sabhi ko phase 3 mein khola jaega.Halaki isse pehle halato ki samiksha ki jaegi.Teesre charan mein hi social, political, sports, entertainment,and cultural activity ko kholne ka fesla kiya jaega.

Night Curfew ka badla samay:
Desh mein night corfew abhi bhi jaari rahega. Halaki iske liye samay mein badlav kiya jaega,Ab raat mein 9 bje se subhah ke 5 bje tak ger jarruri kaam ke liye bahar nikalne pe rok rahegi.Lockdown 4 mein yeh samay shaam7 se subhah 7 tak tha.

Containment Zone mein jaari rahega Lockdown:
Home ministry se jaari nirdesh mein kaha gya h ki desh sabhi containment Zone mein lockdown 30 june tak jaari rahega.containment zone ki pehchan jila adhikario dwara ki jaegi, caintainment zone mein keval jaari gatibidhiyo ko hi chhoot milegi.in areas mein lockdownko strictly follow kiya jaega.
medical activity ke alawa kisi bhi person ko Red zone se bahar aane jaane ki anumati nhi di jaegi.state bafar or zone ki pehchan kar sakte hai.

Containment Zone ke bahar pratibandh ka fesla State govt par:
Home ministry ne kaha hai ki situation ko dekh ke yadi state govt.ko activity rokni pade to vo esa kar sakte hai.

Web Title:guidelines for lockdown opening from 8th june when will school reopen


Post a Comment

1 Comments

  1. Nice now after a long time we will go back to colleges

    ReplyDelete