IRCTC Train ki Booking kaise kare?


IRCTC TRAIN ki ticket ke liye booking :

➛ Kavel Online E_ticket IRCTC website online ya mobile app ke madhyam se kiya jaega.Kisi bhi Railway station ke Reservation counter par koi ticket book nhi kiya jaega . 'Ajents' ke madhyam se ticketon ki booking ki premission nhi dee jaegi.

➛ Advance Reservation ka samay max-30 din tak rahegi.

➛ RAC or waiting list ko niyamo (rules) ke anusaar diye jaenge lekin waiting list valo ko train mein chadne ki anumati(permission) nahi di jaegi.

➛ Yatra ke doran kisi bhi yatri ko unreserved ticket jari nhi ki jaegi.

➛ In traino mein koi bhi tatkal ticket ki anumati(permission) nhi di jaegi.

➛ pehla chart nirdharit prasasan se 4 ghante pehle ready kiya jaega or dusra kam se kam 2 ghante baad.Pehle or dusre chart ke beech keval Online booking ki anumati (permission) hogi.

➛ Sabhi yatrio ki anivarya roop se jach ki jaegi or kewal asymtomatic passenger ya yatri ko train mein bethne ki anumati(permission) milegi.

In special Traino se jaane vale yatrio ko kuch sabhadaaniyo ka palan karna hoga:


➛ Jin passengers ke pass confirmed ticket Hogi unhi ko train mein bethne diya jaega.

➛ Sabhi yatrio ko entry ke samay or puri yatra mein Face Mask jarruri hi pehne rahna h.

➛ Sabhi yatrio ko time se 90 min (3 hr.) pehle station par pahuchna hoga or thermal screening ke baad asymptomatic yaatri ko hi train mein bethne diya jaege.

➛ Passengers ko social distancing ka vishes khayal rakhna hoga station or Train mein.

➛ Sabhi Passengers ko apne destination(gantavya) pe pahuchne ke baad health protocols ko follow karna h.

quota ki anumati:

Sabhi kota ko in vishes Traino mein anumati di jaegi jaise Regular trains mein di jati h.Is udesya ke liye simit shankya mein Reservation counter operate kiye jaenge.lekin samanya ticket booking inse nhi ki jaa sakegi.

Riyayate:

➛ In traino mein divyango ki 4 or patient ki 11 categories ko anumati hai.





Post a Comment

0 Comments