TikTok reviews 4 to 1 suddenly |
jyada jankari ke liye aage padhe.
TikTok Rating PlayStore pe kaise kam hona suru hui.
Indian TikTok users pichle kuch beete dino se TikTok Ko 1 star rate kar rahe h jisse PlayStore pe is app ki Ratings 4.5 star se 1.3 star ho gayi hai. TikTok ko 1 star dene ka trend suru hua twitter ke ek #bantiktok hastag ke sath jaha TikTok ko firse se India mein ban karne pe jor diya ja raha hai.Lekin TikTok ki rating APP STORE pe abhi bhi4.8 bani hui h iska reason hai ki India mein Android users IOS se jyada hai.
Apko is baat ka pura andaaza lagane ke liye ki pura backlash kya h. Yeh tab suru hua jab popular youtube creator Carry minati ne "Youtube vs TikTok" ki ladai ke madde najar tiktoker Amar Shiddique ki Rosting Video youtube pe post ki thi.Iss video ko kuch hi Hours mein lakho viewers ne dekha or Support bhi kiya lekin ab is video ko youtube se hata diya gya h kyuki ye youtube ke kuch niymo ke virudh thi.
popular creator Carry Minati ke support mein lakho logo ne TikTok ko 1 rating dena suru kar diya or dekhte hi dekhte Twitter pe #bantiktok no.1 pe trend kar gya.
sittuation tab jayda bigad gayi jab ek Faisal Siddiqui ne Acid Attack ko support karte hue TikTok par Video Upload Kiya jisse GOOGLE Play store pe ratings or kharab hone lagi or logo ne TikToK ko ban karne ki maang ki.
Yeh pehli baar nahi hai jab TikTok vibado mein ghira h . Pichle saal isse desh mein Ban kar diya tha kyuki ye app vivadit or apmaanjanak videos dikhata hai iske chalte tiktok ne lagbhag 6000 videos remove kar diye the or Isse google store or app store se hata diya the lekin kuch samay ban rehne ke baad Madras High court ne unban kar va diya or ye App bapas playstore or ios store pe aagya.
write your comment below.
1 Comments
Great tiktok should be banned
ReplyDelete