Corona ki pehli Dawa India ne banayi hai , 103 rupee ki hai goli : Corona Latest News

Glenmark launches Covid Drug Company ,Sarkaar, medical organisation, ke sath milkar kaam karegi tabbhi yeh dawa asaani se sabhi ke pass pahucha paegi, Yeh dawa doctor's ki salah par 103 rupee ke daam par milegi sabhi ko

103 rupee ki corona ki dawa India mein ban ke ready
Glenmark launches Covid Drug Company: Glenmark ne covid se mul roop se pidit marij ke ilaj ke liye Antiviral medicine à¤«ेविपिराविर fevipiravir  ko feviflue brand ke naam se pesh kiya hai.company ne saturday ko yeh jankari di,mumbai ki company ne friday ko kaha tha ki usse DGCI se iss dawa ke nirmaan aur marketing ki manjoori mil gayi hai.

Ye hai corona virus ki Dawa(Medicine)


Company ne  kaha feviflue corona virus ke ilaj ke liye fevipiravir dawa hai,jise manjuri mili hai.Glenmark pharmaceticals ke chairmen ne kaha ki yeh manjoori esi samay par mili hai jab Bharat mein corona mamlo ki sankhya pehle ki tulna mein jayda badh rahe hai.Isse hamari swasth seva pranali kaafi dawab mein hai.Unhone umeed jatai feviflue ki prabhabi ilaj ki success se is dawa ko kaafi kaam karne ki madad milegi.

Doses:
pehle din iski 1800 mg ki khuraak leni hogi.uske baad 800 mg ki do khurak 14 dino tak leni hogi.Glenmark pharama ne kaha ki mamuli sankarman se pidit marij jo sugar ya diabetes se peedit hai.unhe bhi yeh dawa di ja sakti hai.Health ministry ke anusaar,corona virus ke ek din mein 14,516 mamle aaye hai. Ye dawa in aakado ko kam karne mein kargar rahegi.

medicine

Post a Comment

0 Comments