Ek aur hatni ki maut ki khabar aayi,Jabde mein hai fracture,Officers ko sak-Fire-crakers ho sakte hai karan

Ek varisth officer ne bataya "postmortum mein pata chalta hai ki is hatni ke jabde mein fracture hua tha yeh fracture uske dwara khayi gayi chij ka paridaam ho sakta hai,Hum chemical analysis report ka wait kar rahe hai.Hume sandheh hai ki pathako ke karan esa ho sakta hai."


keral mein isse pehle bhi ek maada hatni ki maut visfot bhara pineapple khane se hui thi.
Keral mein ek hatni ki bisfot bhara pineapple khane se maut ko lekar desh mein abhi gussa tham bhi nhi paya hai ki rajya mein isi tarah ki ghatna mein ek aur hatni(femal Elephant)  ki dardnaak maut ka mamla samne aaya hai.Reports ke anusaar kollam jile ke forest mein isi tarah ki ghatna mein ek mada hathi ko jaan gawani padi thi.Ek old officer ne bataya "postmortum mein pata chalta hai ki is hatni ke jabde mein fracture hua tha yeh fracture uske dwara khayi gayi chij ka paridaam ho sakta hai.Halaki maut ke karan ko nischit roop se kuch kaha nhi ja sakta.Hum chemical analysis report ka wait kar rahe hai.Hame sandheh hai ki patako ke karna esa ho sakta hai.Officers ko yeh mada hathi pathanpura ke forest mein ek jal dhara ke pass mili. Ek forest officer ne bataya ki: vo bahut kamjor thi hamne usse kuch dawa dene ki kosis ki lekin voh kuch km door chali gyi or agle din ladkhada ke gir gayi .
femal elephant ki pathake bhara annanash(pineapple) khane se hui thi maut
Gertalab hai ki isse pehle silent valley mein ek mada hathi ki pathake bhara pineapple khane se maut ki ghatne ne logo aur forest animal lovers ko jhaghor kar rakh diya hai.bisfotak is hatni ke muh mein fat gaye the aur 27 may ko iski maut ho gyi thi.keral ke CM ki hathi ki maut ke liye jimmedar logo ke khilaf kadi karyavahi ki jaegi.CM ne kaha: "forest vibhag is mamle ki jach kar raha hai aur doshiyo ko kaanun ke dayre mein laya jaega."

watch this also:forest officer ne hatni par dil ko chhu jane vali kavita sunayi 

Social media mein share ki gayi tashvir mein is hatni ko nadi mein muh or sund dabakar khada dekha gaya hai.shayad asehniye dard se rahat pane ke liye usne esa kiya tha.Baad mein isi isthiti mein uski maut ho gayi.forest officer ne bataya ki:  "hame nhi pata iski maut kab hui."lekin hame sandheh hai ki yeh lagbhag 20din pehle hua hoga."Dil ko dehla dene vali ghatna tab samne aayi jab forest officer ne apne facebook page par ek emotional post kiya tha."Post mein likha tha :jab hamne dekha ki vah nadi mein khadi hai or uska sir paani mein dooba hua tha.usse is baat ka ehsaas ho gya tha ki voh marne bali thi.ese mein usne jal samadi leli." Officer ke pass hatni ko nadi kinare laane ki kathin chunoti thi jisse unhone pura kiya.Is hatni ne silent valley ke forest ko chhod diya tha.Aur bhojan ki talash mein pass ke gaon mein bhatak gyi thi.Desh mein bane pathake ka istemaal aam tor pe sthaniy log jangli suaaro ko khet se bhagane ke liye karte hai.forest officer  ke anusaar hatni ne inhi mein se ek pineapple khaya tha. 

Post a Comment

0 Comments