Rajasthan mein July mein honge Universities aur colleges ke exams : CM Gehlot ka aya order.


Rajasthan Sarkar ne Covid-19 mahamari ke karan kuch samay ke liye sthaagit ki gyi rajya ke sabhi universities, Aur unki allied colleges,Technical Universities and Polytechnic colleges ke Exams july ke dusre week mein suru karne ka fesla liya  hai.CM Ashok Gehlot unke liye ucch siksha aur technology education department ke officers ko samuchit viyabasthay karne ke order diye
hai.Sambandhit Universities and technical Universities ke exam ki dates ka detailed program jari karenge.Gehlot ki adhyakshta mein Tuesday ko High Education aur Technical Education ke officers ke sath CM nivas mein hui bethak mein yeh Nirnay liya gaya.

Gehlot ne kaha ki Universities mein UG and PG courses ke Last year ke exams sabse pehle karaye jaye,Thatha 1st and 2nd year ke students ko next year mein upgrade kar diya jaye.Baad mein situation sahi hone par Graduate courses ke 1st and 2nd year and PG ke 1st year ke exams bhi karaye jaye.


CM ne kaha ki Technical Universities aur colleges mein bhi B-tech,M-tech,MBA courses and polytechnic courses ke liye bhi last year ke exams July se suru karayi jaengi.

Health Protocols ka hoga palan
Unhone officers ko exams ke doran corona virus ki mahamari ke sandarbh mein jari health protocols ka palan sunischit karne ke aadesh diye. Unhone jarrurat ke anusar exam centers badhane ke aadesh diye. Bethak mein High education state minister Bhabar Singh Bhati,Technical education state minister Dr.subhash garg aadi upasthit the.

Post a Comment

0 Comments