Keral mein ek pregnant elephant ki amanviya tarike se hatya ho gyi jiske baad pura desh gusse mein hai.Ab forest department dwara is mamle mein palakkad district mein ek arresting hui hai.Unhone ek tweet ke jarie iski jankari di.
Union Minister of Enviroment Prakash Javdekar ne mamle ka sangyan liya aur guruwar ko kaha ki un logo ke khilaf kadi karywahi ki jaegi.Unhone pregnant elephant ko pathake bhara pineapple khilaya tha.Javdekar ne ek byan mein kaha ki Ministry of enviroment ne keral government se mamle ki report mangi hai.Apradhio ke khilaaf kadi karywahi ki jaegi.
Keral ke CM Pinrai Vijyan ne aswasan dilaya ki nyay hoga.Tweet karte hue kaha ki 3 sandigdh par dhyan kendrit karte hue jach jari hai.Police aur forest department sanyukt roop se jach karenge.
Postmortem report aayi samne:
Postmortem report samne aagyi hai aur isme chokane vale khulase samne aaye hai.hatni pregnant thi.Report mein iska maut ka karan fefdo mein paani bharne se hui samne aaya.Hatni ki maut pani mein saas lene se fefdo mein pani bhar jane se hui.iske alawa pineapple khane se hue bisfot se uska jabda tut gya tha.Aur voh kuch bhi chaba pane mein asmarth thi.
Report ke aage bataya ki jabde tutne ki vajah se hatni kaafi taklif mein thi.Aur apni maut se pehle 14 dino se kuch khaya bhi nhi tha.Report mein batay ki is doran kuch bhi kha-pee nhi sakti thi.Itni takleef hone ke baad bhi hatni ne gao valo ko jara sa bhi nuksaan nhi kiya aur jake pani mein saran leli.
VIEW REPORT
Bata de, pathake bhara pineapple khane ke baad 27 may ko palakkad jile mein hatni ki maut ho gyi thi.apne nichle jabde mein chot lagne ke baad voh valliyar nadi mein khadi mili thi.
0 Comments